Dekho nayaa daur hai aaya,
Saath apne kai rang hai laayaa,
Ab nahin ladkiyaan ghar main ghutati ,
Woh toh hain ladkon se kaandhe milake chalti,
Ab nahin rahaa ghar main ghoonghat,
Auraten gown main hain ghoomti.
Dekho nayaa daur hai aaya,
Saath apne kai rang hai laayaa,
Ab vichaaron ki nadiyaan hain khul ke behti,
Ab logoon ki soch seemit naa rehti,
Ab log naa karte baat chand ki,
Woh toh karte hain koshish mangal par jaane ki.
Dekho nayaa daur hai aaya,
Saath apne kai rang hai laayaa,
Ab toh school-college,
Lejaayaa jaataa hai kitaabon ka boraa,
Chaatra-chaatraayen attendance ke chakkar main
Aate hain college saal pura.
Dekho nayaa daur hai aaya,
Saath apne kai rang hai laayaa,
Ab ladkiyaan dahej nahin hain deti,
Woh to ladkoon ko hain jail main bhejti,
Ab naa rahi arrange marriage ki jhanjhat,
Bachchhe karen luv marriage jhat-pat.
Dekho nayaa daur hai aaya,
Saath apne kai rang hai laayaa,
Ab toh har stri karti hai koshish,
Tulsi ya paarvati banane ki,
Ab toh har mard karta hai koshish,
Miheer se om banane ki.
Dekho nayaa daur hai aaya,
Saath apne kai rang hai laayaa,
Jahan ye naya daur khushiyan,
Lekar hai aayaa,
Wahin isne kai logoon ka
Dil bhi hai dukhaayaa.
Ab naa rahaa choton ke dil main,
Badon ke liye aadar-satkaar,
Aur naa rahaa apno ke prati
Woh pehle waala pyaar.
Ab duniya main badh gayi hai,
Jhooth aur makkaari ki taadaat
Aise main imaandar aur sachchhe log
Mar rahen hain til-til- har din, har raat.
Kyoon naa hum, is naye daur ko,
Naye tareeke se sawaaren
Saath rakhen achchhi baaten aur
Buri aadaton ko nakaaren.
Aayo prem aur sadbhaav se
Hum apne kartavyon ko nibhayen
Apnepan aur khushiyon ke
Ujjwal Rangoon se,
Hum apne maye daur ko sajaayen.
Aur aane waali peedhee ke liye
Ek nayi misaal ban jayen
Aayo, apne is daur ko sajaayen
Apne is daur ko sajaayen.
-24/1/04